Log toh hai chaaro aour
Phir tanhayee see kyun hai laage
Jo maanga woh toh mila
Phir udasi see kyun hai laage
Kya chahe ye dil
Woh usse bhi naa hai pataa
Aise mein dimaag kaise chale
Aie rabb tu hee bataa
Roshni ki chakaa-choun mein
Jaise khade ho Surdas
Patri se utri hai gaadi
Aisa bhalaa kyun aabhaas
Bachhpann ki woh yaadein
Jawaani ka woh josh
Bade hokar kya hai mila
Neend ka nahin aaghosh
Boj toh hai bohout
Ek kandheka nahin aasraa
Palat gayee hai baazi poori
Jaise zindagi ne pheka doosra
Kapdon ki iss nagri mein
Hum nange hee hai chale
Aahista se saamne humaare
Suraj ki roshni hai dhale
Na chandrama na laaltein ki roshni
Raat ke andhera ka nahin darr
Vidhi ka vidhaan jo jaye toot
Subah jo naa ho agar...
-max
Showing posts with label hindi. Show all posts
Showing posts with label hindi. Show all posts
Tuesday, September 21, 2010
Thursday, September 09, 2010
Woh The Tum
dekh rahee hai aankhein nazar
hai jo dur dur tak andhera
suraj toh abhi dhalaa thaa
lage kyun hone ko hai savera
tha toh woh ek jhonka hawaa ka
par lagaa kyun jaise baarish ka ho mausam
thi toh woh bijli ki ek kiran
par kiya suraj ko usne madhamm
kar salaam hai woh ab laa-pataa
do shabdon ki hai nahin fursatt
gulaab ke liye jo ho kaanta
neta ke liye jo ho jamuriayat
woh the tum... woh the tum... woh the tum...
hai jo dur dur tak andhera
suraj toh abhi dhalaa thaa
lage kyun hone ko hai savera
tha toh woh ek jhonka hawaa ka
par lagaa kyun jaise baarish ka ho mausam
thi toh woh bijli ki ek kiran
par kiya suraj ko usne madhamm
kar salaam hai woh ab laa-pataa
do shabdon ki hai nahin fursatt
gulaab ke liye jo ho kaanta
neta ke liye jo ho jamuriayat
woh the tum... woh the tum... woh the tum...
Friday, August 07, 2009
Ek aawaaz
Kya woh samaa tha
chandni raat woh thi
baal unke khule khule
chehre pe rounak unke thi
usne poochha apne aapse
kya ye sapna toh nahin
jannat ke dwaar khol
aayi ye pari toh nahin
uski saasein phool gayi
uske khone lage hosh
kadam aage usne badaaya
kaabu mein tha naa josh
issi sab ke beech mein
ek aawaaz kaanon mein padi
kaminey, dooor reh meri beti se
warna padegi pichhwaade pe chhadi
-max
chandni raat woh thi
baal unke khule khule
chehre pe rounak unke thi
usne poochha apne aapse
kya ye sapna toh nahin
jannat ke dwaar khol
aayi ye pari toh nahin
uski saasein phool gayi
uske khone lage hosh
kadam aage usne badaaya
kaabu mein tha naa josh
issi sab ke beech mein
ek aawaaz kaanon mein padi
kaminey, dooor reh meri beti se
warna padegi pichhwaade pe chhadi
-max
Thursday, April 23, 2009
Kya Tha Woh Seherr
manzil pohounch humne jaana
kya haseen tha woh safarr
tha kya woh jalwa
tha kya woh seherr
mile jab hum pehlee baar
naach aata naa thaa
chhaa jo hum gaye manchh par
aangann ab tedaa naa thaa
dheere dheere haule haule
unki ungli pakad hum naache
mitti se shuru toh kiya
antt mein bane pakke dhaanche
manzil toh hai aa gayee
naa rahee koi kasar
shuruwaat thi toh tal se
jaa kar pohounche hum gadar
chehre the woh naye
dost humne jo banaaye
naacha khoob saath saath
sukhbir ke dohe gungunaaye
iss hasee gaane ke baad
ek mayusee hai ab chhayee
dil baith sa hai gaya
vidhaiee ki ghadee jo aayee
raah apni apni pakad
jo hum hai chale
aao milke ek saath
bolein balle balle
-max
kya haseen tha woh safarr
tha kya woh jalwa
tha kya woh seherr
mile jab hum pehlee baar
naach aata naa thaa
chhaa jo hum gaye manchh par
aangann ab tedaa naa thaa
dheere dheere haule haule
unki ungli pakad hum naache
mitti se shuru toh kiya
antt mein bane pakke dhaanche
manzil toh hai aa gayee
naa rahee koi kasar
shuruwaat thi toh tal se
jaa kar pohounche hum gadar
chehre the woh naye
dost humne jo banaaye
naacha khoob saath saath
sukhbir ke dohe gungunaaye
iss hasee gaane ke baad
ek mayusee hai ab chhayee
dil baith sa hai gaya
vidhaiee ki ghadee jo aayee
raah apni apni pakad
jo hum hai chale
aao milke ek saath
bolein balle balle
-max
Friday, November 07, 2008
Nanu tu akela hai
nanu, iss duniye mein tu akela hai
pal bhar ke liye saathi milenge
hasenge khelenge
aur phir chale jayenge
umeed pe duniya kaayam hai sahee
par umeed doosronki tujhpe hai
tu kissi se umeed na rakhna
jo tune umeed rakhi
mooh ke bal girega
jab tu ladkhadaate uthegaa
tere haath mein sirf tera daant hoga
nanu, iss duniye mein tu akela hai
koi tere saath naa hai
- Max ke Bhaiyaa
Max Comment
#1 - Understand the Bhavana :)
#2 - Nanu = Max
pal bhar ke liye saathi milenge
hasenge khelenge
aur phir chale jayenge
umeed pe duniya kaayam hai sahee
par umeed doosronki tujhpe hai
tu kissi se umeed na rakhna
jo tune umeed rakhi
mooh ke bal girega
jab tu ladkhadaate uthegaa
tere haath mein sirf tera daant hoga
nanu, iss duniye mein tu akela hai
koi tere saath naa hai
- Max ke Bhaiyaa
Max Comment
#1 - Understand the Bhavana :)
#2 - Nanu = Max
Thursday, October 30, 2008
Mera Mustaqbil
This is a dab at a few verses in Urdu. This is in a state of flux and is likely to expand at a later stage.
Photo Courtesy: www.gannonandbenjamin.com
andhere ke sannaate ko choor karte
savere ek nayaa sooraj nikala
iss naye daur ki roshni mein
andekha sa hua pichli raat ka masla
tujhse hai yahee meri iltejaa
aye moula aye mere khudaa
manzil hai saamne mere
mustaqbil se ab naa kar judaa
manzil hai saamne mere
mustaqbil se ab naa kar judaa
- Miyan Max
Photo Courtesy: www.gannonandbenjamin.comandhere ke sannaate ko choor karte
savere ek nayaa sooraj nikala
iss naye daur ki roshni mein
andekha sa hua pichli raat ka masla
tujhse hai yahee meri iltejaa
aye moula aye mere khudaa
manzil hai saamne mere
mustaqbil se ab naa kar judaa
manzil hai saamne mere
mustaqbil se ab naa kar judaa
- Miyan Max
Wednesday, October 08, 2008
Musings on markets
I was inspired by the blog 'Musings on Markets' that has Prof. Aswath Damodaran writing on his views on the state of the world markets, corporate finance and valuation. I do not need a lot to get inspired, but this one person is arguably the father of modern corporate finance.
If you don't believe me, check this out...
Inspired, I wrote my own hideous and childish lines...
teree raah dekte reh gaye
dil ke armaan dil mein hee reh gaye
vaada toh kiya aapne
vaade vaade hee reh gaye
socha abhi abhi aayega
socha kabhi bhi aayega
par woh nazar mein naa aayaa
dooor jaata hee chalaa gayaa
rouu mein yaa gamm mein hassoon
iss utaar chhadhao may kitni deir mein phassoon
aye market tu kab waapas aayega
ujde chaman kab bhagaayegaa
ek baari aaaja aaajaa aaaa jaaa...
uuuuuuuuu uuuuuuuuu
If you don't believe me, check this out...
Inspired, I wrote my own hideous and childish lines...
teree raah dekte reh gaye
dil ke armaan dil mein hee reh gaye
vaada toh kiya aapne
vaade vaade hee reh gaye
socha abhi abhi aayega
socha kabhi bhi aayega
par woh nazar mein naa aayaa
dooor jaata hee chalaa gayaa
rouu mein yaa gamm mein hassoon
iss utaar chhadhao may kitni deir mein phassoon
aye market tu kab waapas aayega
ujde chaman kab bhagaayegaa
ek baari aaaja aaajaa aaaa jaaa...
uuuuuuuuu uuuuuuuuu
Saturday, July 21, 2007
Waqt Nahin...
har khushi hai daman mein,
par ek hansi ke liye waqt nahin...
din raat daudtee duniya mein,
zindagi ke liye waqt nahin.
maa ki loree ka toh ehsaas hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahin...
rishton ko to hum maar hai chuke,
unhe dafnane ka bhi waqt nahin.
saare naam toh hai phone mein,
par doston ke liye waqt nahin...
gairon ki kya karein baat,
jab apno ke liye hee waqt nahin.
aankhon mein neend hai badee,
par sone ka waqt nahin...
dil ghamon se hai bhara hua,
par rone ka bhi waqt nahin.
jeevan ki daud mein aise hai daude,
ki thakne ka bhi waqt nahin...
paraye ehsason ki kya kadr karein,
jab apne sapnon ke liye hee waqt nahin.
ab tu hi bataade aie khudaa,
iss zindagi ka kya hoga...
har pal hai marne walon ko,
humein jeene ke liye bhi waqt nahin...
har pal hai marne walon ko,
humein jeene ke liye bhi waqt nahin...
- Adapted from the works of Anon
par ek hansi ke liye waqt nahin...
din raat daudtee duniya mein,
zindagi ke liye waqt nahin.
maa ki loree ka toh ehsaas hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahin...
rishton ko to hum maar hai chuke,
unhe dafnane ka bhi waqt nahin.
saare naam toh hai phone mein,
par doston ke liye waqt nahin...
gairon ki kya karein baat,
jab apno ke liye hee waqt nahin.
aankhon mein neend hai badee,
par sone ka waqt nahin...
dil ghamon se hai bhara hua,
par rone ka bhi waqt nahin.
jeevan ki daud mein aise hai daude,
ki thakne ka bhi waqt nahin...
paraye ehsason ki kya kadr karein,
jab apne sapnon ke liye hee waqt nahin.
ab tu hi bataade aie khudaa,
iss zindagi ka kya hoga...
har pal hai marne walon ko,
humein jeene ke liye bhi waqt nahin...
har pal hai marne walon ko,
humein jeene ke liye bhi waqt nahin...
- Adapted from the works of Anon
Subscribe to:
Posts (Atom)