Friday, August 07, 2009

Ek aawaaz

Kya woh samaa tha
chandni raat woh thi
baal unke khule khule
chehre pe rounak unke thi

usne poochha apne aapse
kya ye sapna toh nahin
jannat ke dwaar khol
aayi ye pari toh nahin

uski saasein phool gayi
uske khone lage hosh
kadam aage usne badaaya
kaabu mein tha naa josh

issi sab ke beech mein
ek aawaaz kaanon mein padi
kaminey, dooor reh meri beti se
warna padegi pichhwaade pe chhadi


-max

2 comments:

ARTH said...

Max, I was initially rubbing my eyes, I was really bewildered that you wrote a hindi peom.

Gotta Be Max said...

bhaijaan, bilkul original hai, humaari hindi itni bhi buri nahin hai, aapse kaafi seekhi hai