Tuesday, September 21, 2010

Subah Jo Naa Ho

Log toh hai chaaro aour
Phir tanhayee see kyun hai laage
Jo maanga woh toh mila
Phir udasi see kyun hai laage

Kya chahe ye dil
Woh usse bhi naa hai pataa
Aise mein dimaag kaise chale
Aie rabb tu hee bataa

Roshni ki chakaa-choun mein
Jaise khade ho Surdas
Patri se utri hai gaadi
Aisa bhalaa kyun aabhaas

Bachhpann ki woh yaadein
Jawaani ka woh josh
Bade hokar kya hai mila
Neend ka nahin aaghosh

Boj toh hai bohout
Ek kandheka nahin aasraa
Palat gayee hai baazi poori
Jaise zindagi ne pheka doosra

Kapdon ki iss nagri mein
Hum nange hee hai chale
Aahista se saamne humaare
Suraj ki roshni hai dhale

Na chandrama na laaltein ki roshni
Raat ke andhera ka nahin darr
Vidhi ka vidhaan jo jaye toot
Subah jo naa ho agar...

-max

1 comment:

Amitabh said...

this is brilliant as usual buddy :-)