Log toh hai chaaro aour
Phir tanhayee see kyun hai laage
Jo maanga woh toh mila
Phir udasi see kyun hai laage
Kya chahe ye dil
Woh usse bhi naa hai pataa
Aise mein dimaag kaise chale
Aie rabb tu hee bataa
Roshni ki chakaa-choun mein
Jaise khade ho Surdas
Patri se utri hai gaadi
Aisa bhalaa kyun aabhaas
Bachhpann ki woh yaadein
Jawaani ka woh josh
Bade hokar kya hai mila
Neend ka nahin aaghosh
Boj toh hai bohout
Ek kandheka nahin aasraa
Palat gayee hai baazi poori
Jaise zindagi ne pheka doosra
Kapdon ki iss nagri mein
Hum nange hee hai chale
Aahista se saamne humaare
Suraj ki roshni hai dhale
Na chandrama na laaltein ki roshni
Raat ke andhera ka nahin darr
Vidhi ka vidhaan jo jaye toot
Subah jo naa ho agar...
-max
Tuesday, September 21, 2010
Thursday, September 09, 2010
Woh The Tum
dekh rahee hai aankhein nazar
hai jo dur dur tak andhera
suraj toh abhi dhalaa thaa
lage kyun hone ko hai savera
tha toh woh ek jhonka hawaa ka
par lagaa kyun jaise baarish ka ho mausam
thi toh woh bijli ki ek kiran
par kiya suraj ko usne madhamm
kar salaam hai woh ab laa-pataa
do shabdon ki hai nahin fursatt
gulaab ke liye jo ho kaanta
neta ke liye jo ho jamuriayat
woh the tum... woh the tum... woh the tum...
hai jo dur dur tak andhera
suraj toh abhi dhalaa thaa
lage kyun hone ko hai savera
tha toh woh ek jhonka hawaa ka
par lagaa kyun jaise baarish ka ho mausam
thi toh woh bijli ki ek kiran
par kiya suraj ko usne madhamm
kar salaam hai woh ab laa-pataa
do shabdon ki hai nahin fursatt
gulaab ke liye jo ho kaanta
neta ke liye jo ho jamuriayat
woh the tum... woh the tum... woh the tum...
Subscribe to:
Posts (Atom)