har khushi hai daman mein,
par ek hansi ke liye waqt nahin...
din raat daudtee duniya mein,
zindagi ke liye waqt nahin.
maa ki loree ka toh ehsaas hai,
par maa ko maa kehne ka waqt nahin...
rishton ko to hum maar hai chuke,
unhe dafnane ka bhi waqt nahin.
saare naam toh hai phone mein,
par doston ke liye waqt nahin...
gairon ki kya karein baat,
jab apno ke liye hee waqt nahin.
aankhon mein neend hai badee,
par sone ka waqt nahin...
dil ghamon se hai bhara hua,
par rone ka bhi waqt nahin.
jeevan ki daud mein aise hai daude,
ki thakne ka bhi waqt nahin...
paraye ehsason ki kya kadr karein,
jab apne sapnon ke liye hee waqt nahin.
ab tu hi bataade aie khudaa,
iss zindagi ka kya hoga...
har pal hai marne walon ko,
humein jeene ke liye bhi waqt nahin...
har pal hai marne walon ko,
humein jeene ke liye bhi waqt nahin...
- Adapted from the works of Anon